Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2019

Tohfe

Main usko tohfe deta hoon kabhi shampoo to kabhi aata ya sabun ya ghar ka bana khaana ek baar kuch kalam bhi diye the kabhi khoobsoorat guldaan nahi diye ya sukoon dene wali filmon ki DVD aur kuch na sahi chandni raatien bhi na de paaya Ye mera tariqa hai  kuch kahne ka kya kahna hai magar mujhe pata nahin ye harf jo hai "kuch"  bohat chhota sa hai "wasee" main mumkin ye kainaat hai uske tohfe kuch muktalif hote hain wo apnee gamzada tasveerein  jo ki apne phone se kheenchtee hai wo mujhe bhejtee hai uske tohfe yahin tak nahin hai wo mujhe ek samandar bhar ke qahqahe bhi nazar karti hai usko mil bhi jaate hain  aise mauke jab ham saath hote hain usko mere tohfe pasand aate hain (aisa usne kaha) wo mujhe ishq ka hadia pesh-e-khidmat karti hai aisa ishq jo bataya na jaye ye ishq se bhi khoobsoorat hai magar ye ishq bhi nahin lekin ye kuch aur bhi nahi wo mere diye hue shampoo se apnee zulfein dh